Wednesday, August 20, 2008

Yeh Main Hoon

So, “another one bites the dust”.

I realize and understand so much more of what all these songs mean so much more now-a-days. It's like these sudden dawns. This is a great feeling of freedom, where I can simply write and express myself. No rhymes. No necessary coherence. No unnecessary frill. No conventional grammar/meaning. Hmm… so blogs became popular.

As of today, my OSS (one song syndrome) is “Yeh main hoon” by Kaavish. I so identify with the lyrics and the song itself. Its funny how so many people around the world may identify with this song… how similar does that make us? Anyway… here are the lyrics. It's a beautiful beautiful song. Free download is available at the band’s official website.


Yeh Main Hoon
- Kaavish


Yeh main hoon
Aur yeh meri duniya hai

Kya seekha tumne iss duniya se
Kya seekha tumne iss tanhai se

Iss tanhai mein mujhe who roshni dikhti hai
Jo bahut insanon ko
Bahar ki us hari bhari duniya me nahi dikhti

Magar is roshni mein aisa bhi kya hai
Jo tumhe le jata hai us taraf
Us roshni ki taraf

Us roshni ki sabse khaas baat ye hai
Ki main uske peechhe sari zindagi bhagta rahoonga
Saari zindagi

Kya seekha tumne is duniya se
Kya seekha is tanhai se
Kya seekha, aakhir kya seekha tumne

Duniya us aurat ki tarah hai
Jiske peechhe jab tak tum khud bhagte raho
Wo tumhare haath nahi aati
Aur jaise hi tum uska peechha chhod do
Wo tamam khushiyan lekar tumhari taraf palat aati hai

Ye jo tum sham dhale aksar
Khud se yuhin baatein karte ho
Khud hi apne khayalon me gum se rehte ho
Aakhir aisa kyun hai

Main ye baat samajhne laga hun
Ki woh roshni jo mujhe door khade dikhti hai
Wo roshni darasal mere andar hi hai

Tumhari duniya ke bahar bhi ek duniya hai
Aao main tumhe le chalun us duniya mein

(brilliant music)
Rangon mein jeene ki aadat nahin hai meri
Tumhe tumhari duniya mubarak
Wo tumhari duniya hai
Ye main hoon.

No comments: