Sunday, September 13, 2009

Triveni fever strikes again :)

Ehsano ka bojh hum khud uthate hain,
Aur fir zindagi ki khuraakh khojte reh jaate hain...
Saans to muft hoti hai
_________________________________________
Fursat se kabhi aana to batayenge,
Aapko in sile labon ka raaz...
Satta sirf shabdon ki mohtaj nahi
_________________________________________
Humne andhere se bewajah hi dosti ki,
Jab ki tumne apne ujale se mera pura jahan roshan kar diya...
Chanda bhi to suraj se hi chamakta hai
_________________________________________
Ek lambi saans ke saath boondon ki mehek aayi,
Aur thandi hawa mein aahein ud gayin...
Bas neeche galiyon mein paani ki chheenten na paden
_________________________________________
Kabhi jab hum ankhen band karke sochte hain,
To roshni se bhi man behek jaata hai...
Wo haath se padte hain to kya
_________________________________________
Zindagi mein khushiyon ki aisi baad aayi,
Ki saari dukh ki kashtiyan beh gayin...
Kahin un jaagi hui kabron ki nazar na lag jaaye
_________________________________________
Humne to khuli ankhon se khwab sajaye,
Aise ki sari duniya peechhe reh gayi...
Sandal utaar kar hi mitti ka sparsh hota hai

No comments: