Tuesday, December 2, 2008

Nishabd

Jab tu na aaya kabhi
Humara gam na gaya kabhi,
Aur in pehchani rahon par
Hum kho gaye lapata yun hi.

Har boond mein tujhe baha diya
Lakeerein bhi dhundlin ho padin,
Par toone raham na kiya
Aur zindagi banjar hoti chali.

Tere pyar mein yun ojhal
Hum anjani rahon par chal diye,
Mila bas tera gam, khamoshi- woh sab
Na mila tera pyar, hum taraste hi rahe.

Is dil mein teri mohabbat ab bhi
Chhipi padi gehre andheron mein,
Sehmi hui- tujhse, mujhse, aur
Is duniya ki kathor nazaron se.

Ab hum bas tujhe yaad karen,
Apni har tanhai mein,
Na aas hai tere aane ki
Fir bhi dil toote har aahat pe.

No comments: