Saturday, September 17, 2011

Khwabon ke Ishaare


Dil mein kuch armaan liye,

Man mein kuch sawaal liye,

Nikal pade bina khayaal,

Jannat ki ik khoj mein.


Palkon mein kuch sapne liye,

Nazron me kuch lamhe liye,

Chalte rahe bina behke,

Jannat ki ik khoj mein.


Kisi mod par mehram ho gaya koi,

Aur kahin tanha reh gaya koi,

Manzilen mil gayin kahin raahon mein,

Jannat ki is khoj mein.



© Dipti Agarwal

15/09/2011

Friday, September 9, 2011

just a simple thought.... "Believe"


Some lessons to learn in gratitude,

Some to learn in faith,

Some more to learn of giving,

And life, is beautiful!


Some lessons to learn in humility,

Some to learn in sharing,

Some more to learn of acceptance,

And life, is beautiful!


This life is about loving,

There’s more to it than just breathing,

Open your heart to everything,

And life, is beautiful!



© Dipti Agarwal

08/09/2011

Sunday, September 4, 2011

Khamoshiyon ke Sawaal

Yahi chaand ka dekha hoga toone wahan,

Jo yahan dekha maine apne aasman mein,

Kya tujhe meri yaad aayi hogi,

Aaj uski iss haseen aad mein?


Chandni mein bheegi hue kuch sawaal,

Jo dekhe aaj maine teri aas mein,

Kya toone bhi kuch pal yun,

Bitaaye aaj mere khayalon mein?


Par mere ambar par abhi badal aa chhaya,

Lamha kuch guzra yun sawalon mein,

Kya meri chandni barsegi tujhpar,

Ya milenge hum sirf dooriyon mein?


© Dipti Agarwal

15/08/2011

Betabiyan hone ho hai



Dil ki dabi zuban ko zara suno,

Wo keh raha raaz hai,

Use khulke ehsaas lene to do,

Koi aa raha paas hai.


Man ke sureele labzon ko zara suno,

Wo keh raha raaz hai,

Geeton ko saazon mein dhalne to do,

Koi aa raha paas hai.


Uss adhoore hisse ki khabar to zara suno,

Jo keh raha raaz hai,

Uss ajnabi ko apna hone to do,

Woh aa raha paas hai.


© Dipti Agarwal

15/08/2011