Friday, June 26, 2009

Mixed Bag of more Triveni

Khamoshi ki goonj kitni tez hoti hai,
Andar ke khauf sab bahar aa jate hain...
Kharraten kahan bure hote hain

_____________________________________________

Hum unse kya gila karen,
Jab apni himmat ne jawab de diya...
Shishe ke tukdon mein ab aks bhi nahi jhalakta

_____________________________________________

Hum chalte rahe apne anjaan safar par,
Hath mein hath muqaddar ke...
Kya karen jo kabhi street light kharab ho jaye

_____________________________________________

Har roz zindagi kuch yun guzar jati hai,
Jaise rail ki raftar mein ped...
Bas chand lamhe churakar foto me kaid kar rakhen hain

_____________________________________________

Andhere mein bhi ek amulya sa akelapan hai,
Jahan man ki baaton se roshni chamakti hai...
Kahin hum yahan khoj mein bhatakte na reh jayein

_____________________________________________

Man ke khayalon ke khazane se,
Kai jazbaat alfazon mein dhal gaye...
To kya hua agar unhe bas dosti ka naam de diya

______________________________________________

Dil ke wo nishaan jo aankhon mein jhalakte hain,
Laal syahi se humne shabdon mein dhaal diya...
Hawa se udkar rakh bhi firse jal jaati jai

Thursday, June 4, 2009

the death of romance

Ye santaap kaisa hai,
Jo barson baad bhi chubh jata hai...
Humein badgumaan tha ki dhaage pakke hain

___________________________________________

Shayari bhi ik rahasya si kaid hai,
Sundar alfaaz aur meethi bhasha mein...
Ya kaale jasbaat aur jhoothe sach mein

Wednesday, June 3, 2009

More triveni

Bas kaam mein dhut ho gaye aise,
Hamari pyaas tak adhuri reh gayi...
Aur kab bujh gayi pata bhi nahi chala

Monday, June 1, 2009

Inspired by Gulzar's Triveni

Triveni is a form of Hindi/Urdu poetry initiated by the poet Gulzar. Unlike sher, a triveni consists of three misras. The first two are complete in themselves, but the addition of the third misra gives a new dimension all together

_________________________________

Wo gam kaisa jo geela na ho,

Jaise dard ki koi purani zubaan...

Kya bura hai jo aasman rota hai

_________________________________


Socha to tha ki usse dafna dia,
Par bhooton ka dera dhala nahi...
Kabr mein phoolon ki mehek abhi taazi hai

_________________________________

Hum apni oonchaion se dekhte hi rahe,
Aur hawa jaise kisiko dhoond kar guzar gayi...
Lalaten ki dhoop bhi ab bujh rahi hai